Mai lutkay aaiyee hu
Amma zainab ko Sahara do amma
Amma dushwaar hua chalna mera
Amma zainab...{X3}
1 Amma hamey dashtay karbal may
mehmaan bulakar aada ne {X2}
Amma ek din may bhara ghar lut liya
Amma zainab...{X3}
2 maidaan may ghodon say girkay
meray aun o mohammed marey gaye {X2}
Amma mera qasim bhi pamaal hua
Amma zainab....{X3}
3 akbar ka jigar naizay say Chida
asghar kay galay par teer laga {X2}
Amma bedast hua ghazi mera
Amma zainab...{X3}
4 Amma meray saamnay hastay hue
meray bhaiyee ko tadpate hue {X2}
Amma sar shimr e layee'n nay kaatliyaa
Amma zainab...{X3}
5 sar naizay chadakar zalim ne
khaimoo ko jakakar zalim ne {X2}
Amma meray sar say chadar cheenliyaa
Amma zainab...{X3}
6 zindaa'n may sakina ne apna
hay ro ro kay dum Tod Diya diya {X2}
Amma sajjad ne usko dafnaya
Amma zainab...{X3}
7. bazu pe rasan bandhwaye hu aur pusht pay durre khayi hu {X2}
Amma zalim ne bohath mujko maraa
Amma zainab...{X3}
8. sar nange phiri bazaaron may
Beparda gayee darbaron me {X2}
Amma mera jeenay say dil toot gaya
Amma zainab...{X3}
9. Parwaaz lipath kar marqadh say
zainab ne kaha yeh rote hue {X2}
Amma laiyee hu mai bhaiyee ka kurta
Amma zainab...{X3}