mai qaid ho ke bhi ghar karbala se jaaungi
yazeediyat ki imarat gira ke aaungi
khuda ke sher ki beti behan hoo ghazi ki
hila ke rakh doongi bunyad zulm o zaari ki
jinho ne kaata hai sar unke sar jhukaungi
mai qaid ho ke bhi...
mujhe qasam hai teri tashnalab shuja'at ki
mujhe qasam hai mere bhai teri ghurbat ki
ameer e shaam ko barbaad kar ke aaungi
mai qaid ho ke bhi...
kabhi hussain nazar aaungi kabhi abbas
yateem bachon ko hone na dungi kuch ehsaas
har ek zulm o sitam se unhe bachaungi
mai qaid ho ke bhi...
jinho ne ay mere bhaiya tujhe kafan na diya
jinho ne cheeni ay bhai mere sar se rida
mai unke rukh se naqabon ko hataungi
mai qaid ho ke bhi...
mita ke chodungi bhaiya mai tere qatil ko
har ek mahaaz pe hogi shikast baatil ko
har ek mahaaz pe tera alam lagaungi
mai qaid ho ke bhi...
pukari dekh ke maqtal ki simt binte ali
salaam le mere bhai mai suye shaam chali
mai waapis aaungi aur ghazi ban ke aaungi
mai qaid ho ke bhi...
mai ahle zulm ka jeena haraam kar dungi
jahan se upri jo qismat tamaam kar dungi
jo waada tu ne kiya tha wo mai nibhaungi
mai qaid ho ke bhi...
chali ye kehte huwe karbala se wo gohar
khitaab mere pidar ka hai faatah e khyber
jo aaj maine kaha hai wo kar dikhaungi
mai qaid ho ke bhi...