mita ke rakh diya baatil ka naam zainab ne
payambarana kiya hai ye kaam zainab ne
charaagh sabr ke maqtal mein yun kiye roshan
kiye wo azmat o kirdaar ke diye roshan
sahar bana di shahadat ki shaam zainab ne
mita ke rakh diya...
kiya zuban se wo hamla ali ke lehje mein
diya wo ghaiz mein khutba ali ke lehje mein
ulat ke rakh diya darbar e shaam zainab ne
mita ke rakh diya...
zameen kaamp uthi ahle zulm ghabraye
jo qadh zuban thay wo bezuban nazar aaye
kiya jalaal mein jis dam kalaam zainab ne
mita ke rakh diya...
kabhi to bhai ke matam mein aah o zaari ki
kabhi jale huwe qaimon ki pehredari ki
guzari is tarha ghurbat ki shaam zainab ne
mita ke rakh diya...
laraz ke reh gaya darya ajab hua ehsaas
tadapta reh gaya saahil pe laasha e abbas
pukara jis ghadi ghazi ka naam zainab ne
mita ke rakh diya...
bala ke dasht mein apne lahoo mein doobe huwe
ghayoor sheron ke laashe tadap tadap uthe
kiya jo aakhri sheh ko salaam zainab ne
mita ke rakh diya...
na apni pyaas na bete kisi ko yaad kiya
hamesha bhai ki tashna labi ko yaad kiya
kabhi jo pani piya tishna kaam zainab ne
mita ke rakh diya...
kiya tha waada jo gohar usay nibhaya hai
aseer ho ke bhi islam ko bachaya hai
batool zaadi alaihe salaam zainab ne
mita ke rakh diya...