Kanz e Aza

momino me hai hashr ek bapa

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

momino me hai hashr ek bapa binte fatima kar gayi qaza

haaye pusht par belcha laga binte fatima kar gayi qaza

dete the layi'n dukh jise sada, joro zulm ki thi na intehaa

qaahare hussain jaane mustafa, binte fatima kar gayi qaza


karte the buka abide hazee'n, haaye aye phupi tum bhi chal basi

dukh zado'n ka haaye ab koi nahi, binte fatima kar gayi qaza

zulm ye kiye baanie jafa, phir dobaara haaye qaid kar diya

marke hogayi qaid se reha, binte fatima kar gayi qaza


qaid se chuti kunbe se chuti, balwe me phiri berida hui

shehre shaam me jaake mar gayi, binte fatima kar gayi qaza

baandhe the layee'n tumko reesmaa'n, baade marg bhi jiske the nishaa'n

pusht par bhi the durro ke nishaa'n , binte fatima kar gayi qaza