Kanz e Aza

Muslim se Koi

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Shams Tabrez. Lyrics in Roman Urdu.

muslim se koi pooche zainab ki beridayi

kufe may jab behan ne roodad e gham sunayi


baalon se moo chupa kar zainab ye keh rahi thi

bhaiya hamari ghairat pamaal ho chuki thi

lekin kisi ko ran may bilkul haya na aayi

muslim se koi pooche...


aankhein to kholo apni har gham bhula chuki hoo

bhaiya mai tum se milne kufe tak aagayi hoo

koi bacha na apna bache rahe na bhai

muslim se koi pooche...


jin ke saron ki jaanib suraj ne bhi na dekha

lekin yahan pe bhaiya majma sharabiyon ka

ahle haram ki aa kar karta hai roonumayi

muslim se koi pooche...


chadar bhi chin rahi thi aansu bhi beh rahe thay

qaime bhi jal rahe thay gham yun hi seh rahe thay

tab khud ali ne aa kar himmat meri badhayi

muslim se koi pooche...


honton pe hichkiyan thi pairon may aabile thay

kaanton ke raaston par hum log chal rahe thsy

sajjad kar kar rahe the us waqt rehnumayi

muslim se koi pooche...


abbas mar chuke hai akbar bhi ab nahi hai

qasim bhi mar chuke hai asghar bhi ab nahi hai

barbaad ho chuki hai bhaiya meri kamayi

muslim se koi pooche...


har simt behayayi bazaar may khadi thi

mai ek rida ki khaatir pal pal tadap rahi thi

lekin teri behan ne bhaiya rida na paayi

muslim se koi pooche...


ay shams bibiyon may kohraam mach gaya tha

ek bhai ek behan se rehan keh raha tha

majboor ay behan hai is waqt tera bhai

muslim se koi pooche...