Kanz e Aza

Momino peeto ro ro ke sar wawaila

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Momino peeto ro roke sar wawaila

maari gayi Sheh ki qwahar wawaila, Maara zubair e saqt jigar ne

belcha pushte aqdas par wawaila.

Shaam abhi do farsaq tha wawaila


zulm jo ye bekas pe hua wawaila, Laye the fir Sajjad ke humrah paon me bedi pehna kar wawaila.

Dete the dhuk bekas ko layee'n wawaila

zaar o qaree'n par aafate thi wawaila, Chain na paaya ta dame aaqir kar gayi dukh me haye safar wawaila.

Ek ghareeb aur lakho sitam wawaila


ek kaleja kitne sitam wawaila, Daagh the bete bhai bhatije qawesho aqareb ke dil par wawaila.

Aaya jo waqte dafno kafan wawaila

utra jo tan se pairahan wawaila, Neel rasan ke shano pa the korou ke nisha har ja tan par wawaila.

Peet rahi hai sar Fizza wawaila kehti thi hai kaisa hashr hua wawaila, Margayi meri bibi ki duqtar qaak na daalu kyu sar par wawaila.


Mehshar taza hai 'Masroor' wawaila

margayi Zainab aye 'Masoor' wawaila, Rote hai Sajjad aur haram sab peet rahe hai sina o sar wawaila...