jalte darwaze ke peeche sayyeda roti rahi
thaam kar pehlu shikasta fatema roti rahi
zulm ki had ho gayi zahra pe baad e mustafa
haye veerano mein jaake gham zada roti rahi
jalte darwaze ke peeche...
uski mazloomi par ab tak ro rahi hai kayenat
keh ke jo subbat alayya jaa baja roti rahi
jalte darwaze ke peeche...
shehr ki aabadiyon se door jaa kar ghamzada
shab ke sannate mein binte mustafa roti rahi
jalte darwaze ke peeche...
aaj bhi awaaz aati hai ye baitul huzn se
meri ghurbat pe madine ki fiza roti rahi
jalte darwaze ke peeche...
saaf baalon se jo ki dukhiya ne maqtal ki zameen
dekh kar us ko zameene karbala roti rahi
jalte darwaze ke peeche...
kyun na ham matam kare mazlooma e kaunain ka
ay muhib jo baap se ho ke juda roti rahi
jalte darwaze ke peeche...