jhutlayi gayi fatema zahra ki gawahi
ya ahmad e mukhtar duhaai hai duhaai
darbar mein bulwaya gaya binte nabi ko
afsos musalman ko ghairat bhi na aayi
jhutlayi gayi fatema...
mohsin ki shahadat ki zimedar hai ummat
darwaza gira zahra pe allah re duhaai
jhutlayi gayi fatema...
mayyat ki bandhe toot gaye haath utha kar
shabbir ko lipta liya zainab ko dua di
jhutlayi gayi fatema...
baba ki sanad le ke gayi saath thay apne
quran ki aayat bhi bibi ne sunayi
jhutlayi gayi fatema...
hasnain se bad ke na gawah koi wahan tha
tha kaun musalman wafa kis ne nibhaai
jhutlayi gayi fatema...
tha pehlu shikasta na magar rukta tha khutba
kaise thay shaqi qalb ke ghairat na aayi
jhutlayi gayi fatema...
baba ki judaai ka na seh paayi wo sadma
aur dar pe nabuwat ke hai phir aag lagayi
jhutlayi gayi fatema...
kehte hai sukoon milta hai marne se lehad mein
zehra hai magar qabr mein ummat ki satayi
jhutlayi gayi fatema...
jab asghar e masoom ka laaya gaya laasha
sar peet'ti qaima se sakina nikal aayi
jhutlayi gayi fatema...
shabbir zara dekho to betaabi e asghar
jhoole se gira jaata hai ye nanha sipahi
jhutlayi gayi fatema...
bacche bhi diye bhai bhi aur shaam bhi dekha
nana tere islam pe chadar bhi lutayi
jhutlayi gayi fatema...
darbar e yazeedi mein aghyaar ka majma
fizza ko nabi zaadi ki haalat nazar aayi
jhutlayi gayi fatema...
jo zulm huwe baad e nabi zahra pe qambar
roodad woh baba ko lahad mein hai sunayi
jhutlayi gayi fatema...