Kanz e Aza

Kaise Guzare Teen

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

yasrab mein haye tooti hui phasliyon ke saath

kaise guzaare teen mahine batool ne


pehlu shikasta choor hui haddiyon ke saath

kaise guzaare teen mahine batool ne


takleef de rahi thi har ek saans mein badi

wo keel jo batool ke pehlu mein thi gadi

har ek qadam larazti hui pindliyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...


larze sutoon-e-kaaba jo teora ke gir padi

aisa tamacha maara ke ghash kha ke gir padi

tapka zameen pe khoon bhi kuch baaliyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...


chehra chupaye rehti thi bacchon se fatema

is waaste ali se na kuch dard e dil kaha

rukh par nishane dast thay kuch ungliyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...


ashke ghame batool mein daaman jo bhar sake

hai koi is jahan mein jo dark kar sake

ro ro ke ghar mein sehmi hui bachiyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...


har dam tasavurat mein phaila raha dhuaan

uth'te huwe wo shole wo darbar al-amaan

jalti hui khayal mein un lakdiyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...


shole uthay aur aag lagi ghar bhi jal gaya

baade rasool saara madina badal gaya

baandha gaya ali ka gala rassiyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...


phaadi thi jo layeen ne tehreer e mustafa

seene se apne haye lagaye rahi sada

baba ki un phati hui kuch parchiyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...


haq fatema ka logon ne aamir nahi diya

sadma dil e batool pe ainee yehi raha

lipta ke apne bacchon ko tanhaiyon ke saath

kaise guzaare teen...

yasrab mein haye...