Kanz e Aza

Maidan se Lekar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ainee Rizvi. Lyrics in Roman Urdu.

ashoor ke din wo shor utha

maidan se le kar qaime tak

thi teeron ki ghanghor ghata

maidan se le kar qaime tak


akbar ko uthaya jab sheh ne

aur paon se wo khat dete chale

ek naksh zameem par banta gaya

maidan se le kar...


akbar ka janaza kaandho par

zehra ka pisar laaya to magar

sau bar zameen par gir ke utha

maidan se le kar...


haathon pe utha kr mayyat ko

chalte hai kabhi ruk jaate hai

allah wo rasta kaise kata

maidan se le kar...


ye chand sa chehra asghar ka

mitti mein chupaunga kaise

ye soch ke sheh ne pyar kiya

maidan se lekar


ek laash utha kar laaye hai

ek laash uthane jaate hai

ashoor ko bas ye hota raha

maidan se le kar...


ghode se ye apne ro ke kaha

bin baazuon waale ghazi ne

ay asp mujhe pahuncha de zara

maidan se le kar...


abbas ka laasha ro ro kar

darya ki tarayi par choda

laaye hai alam shabbir jhuka

maidan se le kar...


bhai ki shahadat ka logon

zainab ko yaqeen tab aa hi gaya

rehwaar jo aaya khoon mein bhara

maidan se le kar...


jis waqt bhi aamir sarwar ka

nazrana koi maqbool hua

har gaam pe ainee shukr kiya

maidan se le kar...