Kanz e Aza

Jinki Raahon se

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

jinki raahon se payambar ne hataye kaante


har qadam par unhi logon ne bichaye kaante

jinki raahon se...


zindagi may jo sitam dhaaye wohi kya kam thay

baad marne ke jo pehlu may rakhaye kaante

jinki raahon se...


khaar phir khaar hai fitrat hai aziyat dena

pehlu e gul se koi kaash hataye kaante

jinki raahon se...


ahle gulshan ki nigahon may sada khatkenge

laakh phoolon may rahe hai to paraye kaante

jinki raahon se...


waye ho ummate marhooma teri kismat par

gul ke hotay huye daaman may sajaye kaante

jinki raahon se...


ghar jalane ko chale aaye nabi zaadi ka

ban gaye baade nabi raah ke saaye kaante

jinki raahon se...


dekh kar dashte musibat may gulay zehra ko

naiza taane hue har soo nikal aaye kaante

jinki raahon se...


ro diye ahle sitam sukhe huye honton par

jab zaban phayr ke asghar ne dikhaye kaante

jinki raahon se...


tane shabbir hai yun teero ke gehware par

mayyate gul ko ho jis tarha uthaye kaante

jinki raahon se...