Kanz e Aza

Janaza Zehra ka Uth Raha Hai

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Masoom Maroofi. Lyrics in Roman Urdu.

Ali Ki Aankhon Mein Khoon Bhara Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Nabi Ke Roze Ko Zalzala Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Ye Kaisa Ummat Ne Zulm Dhaaya

Nabi Ki Beti Ka Ghar Jalaaya

Shikasta Pehlu Bhi Ho Chuka Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Ali Ke Bachchon Ka Qad Hai Chhota

Woh Dein Janaze Ko Kaise Kandha

Qadam Qadam Ek Karbala Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Hayaat Athaarah Saal Ki Thi

Abhi Se Baalon Mein Ye Safedi

Jahan Ne Kaisa Sitam Kiya Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Hasan Ka Tukde Hua Kaleja

Hussain Bhi Padh Rahe Hain Nauha

Kaleja Zainab Ka Phat Raha Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Rasool-e-Haq Ki Jo Thi Amaanat

Woh Ho Rahi Hai Jahan Se Rukhsat

Tamaacha Rukhsaar Par Laga Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Ek Hashr Hai Bait-e-Mustafa Mein

Bapa Hai Kohraam Ambiya Mein

Fiza Mein Jibreel Ki Sada Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Karenge Hasnain Kyun Na Giriya

Nahi Hai Ab Sar Pe Maa Ka Saaya

Gharana Haider Ka Ghamzada Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Arab Ki Malika Ki Jo Thi Beti

Kya Hai Ummat Ne Usko Zakhmi

Nabi Ka Tukda Jigar Hua Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai


Bapa Ho Masoom Kyun Na Matam

Ho Chashm-e-Mashhad Na Kis Tarah Nam

Ye Ek Jumla Bahut Bada Hai

Janaza Zahra Ka Uth Raha Hai