haye ye bachi kaun hai
ye to sakina lagti hai
aati hai maqtal ki taraf
dekha hai kyun suye najaf
kya is ka dada hai ali
ye to sakina lagti hai
haye ye bachi…
aati hai jo roti hui
sadmon se jaan khoti hui
padti hui nade ali
ye to sakina lagti hai
haye ye bachi…
kyun ro ke jaan deti hai ye
kyun siskiyan leti hai ye
kya mar gaya is ka koi
ye to sakina lagti hai
haye ye bachi…
kano se kyun khoon hai rawan
uff ye tamachon ke nishan
ye zulm aur ye kamsini
ye to sakina lagti hai
haye ye bachi…
kausar ye maqtal ki faza
tadpa rahi hai dil mera
taari hai gham ki teeragi
ye to sakina lagti hai
haye ye bachi…