Kanz e Aza

Farshe Majlis Pe

A noha written by Yasir Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

ay azadare shaahe karbobala

farshe majlis pe aagayi zehra


tum se lene hussain ka pursa

farshe majlis pe aagayi zehra


kya ye kaafi nahi hai rone ko

apni chashme aza se tum dekho

leke ek khoon may bhara kurta

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...


boond pani nahi mila us ko

aaj tak bhi hussain pyasa hai

apni aankhon se do unhe darya

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...


haath phaile huwe hai bibi ke

ek kafan ek rida ki taalib hai

kya karega unhe koi hadya

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...


haye wo aun aur mohamed thay

jin ke laashon pe maa nahi royi

maa ko beti ke gham ka do pursa

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...


uski mehwi saja ke ay logon

koi ghatri bana ke le aao

karne qasim ki laash par girya

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...


aao us par kare bapa matam

jis ke seene may ek sina tooti

karne akbar ke gham may wavaila

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...


jis ke laashe pe jaa ke royi thi

jis ke baazu utha ke royi thi

koi ooncha kare alam uska

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...


ye amal khair bhi karo yasir

tum se raazi batool ho jaye

tum jhulaao sagheer ka jhoola

farshe majlis pe aagayi zehra

ay azadare shaahe...