zulm kya kya na huwe mere nabi aap ke baad
chain se aale nabi reh na saki aap ke baad
zul asheera ke lage zakhm saqeefa mein khule
saamne aagaye nasoor e khafi aap ke baad
tera mimbar teri mehrab gawahi denge
sayyeda bar sare darbar gayi aap ke baad
qabre zahra pe faqad zabt ka daama choota
roye bas ek dafa maula ali aap ke baad
khoon jiska tha tera khoon badan tera badan
khoon mein hai ghark wohi farqe ali aap ke baad
raakib e doshe nabuwwat wo tere shaahzade
haif unse hui bayyat talabi aap ke baad
teer yun barse janaze pe hassan ke nana
usko pehlu mein zameen mil na saki aap ke baad
haal kaise ho bayan sibte nabi ka aaqa
kaat kar legaya sar ek shaqi aap ke baad
aale athaar se phirne ka nateeja hai raza
hurmate ummate aasi na rahi aap ke baad