Kanz e Aza

Hai kouno makaa me aaj matam

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s). Lyrics in Roman Urdu.

Hai kouno makan me aaj matam duniya se uthe Rasule Akram, Dil par hai yeh kainaat ke gham duniya se uthe Rasule Akram.

Taboot Nabi ka uth raha hai sar nange har ek barehna paa hai, Rote hai nawase sar kiye qam, duniya se uthe Rasule Akram.

Behosh hai beti Mustafa ki be aas hai ab har ek nawasi, Yasrab me hai ek hoo ka aalam duniya se uthe Rasule Akram.

Aapeh me nahi madine wale behosh hai sab qareene wale, Kunba hai tamaam sarfe matam duniya se uthe Rasule Akram