Kanz e Aza

hyder utha rahe hai janaza rasool ka

A noha for Rasool-e-Khuda (s.a.w.s). Lyrics in Roman Urdu.

hyder utha rahe hai janaza rasool ka

maatam sara bana hai madina rasool ka

behaal hai rasool ki duqtar hussainio

do fatima yateem ko pursa rasool ka


jaate ho chord kar hame ae nanajaa'n kahan

kehta hai roke chota nawaasa rasool ka

sar ko jhukaae roti hai baba ki sogwaar

zahra ki mout ho gayi marna rasool ka


rona wo syeda ka wo kehna hussain ka

amma pata bataaiye nana rasool ka

hai wa-mohammed ki sada har taraf buland

rota hai jo hai qalb se shaida rasool ka


hyder lita rahe hai lahad me rasool ko

sar peet'ta hai qabr pe kunba rasool ka