Ibne janabe Fatima Zehra ne ki qaza, Wahasrata ke Shabbare waala ne ki qaza.
Haider ka chand raahiy e mulke adam huwa, Duniya siyah hai ma-e Zehra ne ki qaza.
Afsos ab gharibou ka pursa nahi koi, Rahat risaane bekas o tanha ne ki qaza.
Jab koi poochta hai sabab aah sard ka, Rokar Hussain kehte hai bhaiyya ne ki qaza.
Deendaar ro rahe hai arab ke udhaake qaak, Yasrab ke Shaahe Sarware bat'ha ne ki qaza.
Bachhe tadap rahe hai zamee'n par pade huwe, Sajjad kehte hai ame waala ne ki qaza.
'Masroor' dost daare Hasan peet te hai sar, Sar par udhao qaak ke Agha ne ki qaza..