Kanz e Aza

Ibne muljim ne hyder ko maara

A noha for Imam Raza (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

ibne muljim ne hyder ko maara

rozedaro qayamat ke din hai

tumse chut-ta hai maula tumhara


rozedaro qayamat....


sooni qabre rasoole khuda hai

ghar may zehra ke maatam buka hai

khaak udaata hai hyder ka kunba


rozedaro qayamat....


aale ahmed pe aafat hai aayi

bekason par yateemi hai chaayi

uthgaya sar se hyder ka saaya


rozedaro qayamat....


ghar may khaaliq ke hyder ko maara

janasheen e payambar ko maara

haye sajde may sarwar ko maara

rozedaro qayamat.... kyun na roye ye wo gham nahi hai

shab ye ashoor se kam nahi hai

khuld me bhi ye matam hai barpa


rozedaro qayamat....


dil hilaate hai zainab ke naale

khaak udaate hai sab kunbe waale

uth raha hai ali ka janaza


rozedaro qayamat....