Kanz e Aza

Jaisey hi ghar se nika taboot mujtaba ka

A noha for Imam Hassan (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Haay hassan hassan x6 times

Jaisey hi ghar se nika taboot mujtaba ka (x2)

teeroon me gheer gaya tha farzand murtuza ka.

1) kya mila tujhe ay zaalim qasim yateem karke.

Kuch bhi na khouf aya x2 times,dil me tere khuda ka.


2) us waqt tak nabi ko kaisey sukoon paaye.

Dukhte rahega jab tak (x2),dil uski fatema s.a ka.


3) teeroon me hai janaza hai uske laadle ka.

Hota tha jo sahara (x2),mushkil me ambiyaaa ka.


4) rooko na aaj mujhko ay chaand fatema s.a ke.

dam guth raha hai ab to (x2),abbas ki wafa ka.


5) zaati na koi jung thi aulaad e murtaza ki.

Saara maamla tha (x2),islaam ki baqaa ka.


6) qalmoo dawaat kagaz jo na de sake nabi ko.

Jo haya karegi ummat (x2),kya aale mustafa ka.


7)apni bahen se rokar ye mujtaba pukaare

Ghazi hai ab muhafiz (x2) Zainab teri rida ka


8)us waqt tak nabi kaise sukoon paaye

Dukhta rahega jab tak Dil uski fatema ka


9) pehchaan ne se qaasir har koi ameer hoga.

Qasim bharam rakhega (x2),kuch is tarah chacha ka.

Haay hassan haay hassan haay hassan haay hassan haay hassan