saamne behen ki aankhon ke
gardan pe khanjar chalaya
ek mazloom pyase par
zaalim ko tars na aaya
haa mera ujad gaya ghar baar
haa mai tanha matamdaar
haye mai ujad gayi nana
haye mai ujad gayi
chali dil pe mere talwaar
ab maut ke hai aasaar
haye mai ujad gayi nana...
nana teri ummat ne mere
jeene ke sahare cheen liye
is karbobala ke jangal mein
aankhon ke sitare cheen liye
mai bekas mai lachaar
sab kunbe ki ghamkhwar
haye mai ujad gayi nana...
darya ke kanare jalta hua
ghar aaj talak dekha kis ne
quran sar e naiza nana
padta hua sar dekha kis ne
kiya bayyat se inkaar
bhai pe chali talwaar
haye mai ujad gayi nana...
wo shaam e ghariban ka manzar
bemaar ka sholon mein bistar
wo behta hua kaano se lahoo
wo neel sakina ke rukh par
kaano se lahoo ki dhaar
jab zakhmi thay rukhsaar
haye mai ujad gayi nana...
ek sher taraayi mein soya
jo aas tha pyase bachon ki
jo mashk bachane ki khaatir
qurbani de gaya haathon ki
parde ka zimmedaar
maara gaya aakhir kaar
haye mai ujad gayi nana...
wo zulm bhi dekhe hai maine
jo din ko raat bana dete
mai ro na saki aansu mere
pani mein aag laga dete
bhai ka tha ye israar
bas sabr meri ghamkhwar
haye mai ujad gayi nana...
shaano pe nishan hai rassi ke
saughat e safar ye laayi hoo
hai dil mein daagh bahattar ke
ay nana mai dukh paayi hoo
thi tang ki wo bauchaar
rota tha alam bardaar
haye mai ujad gayi nana...
wo ibne hassan pamaal badan
dulha jo bana ek shab ke liye
maqtal ki zameen par uska badan
ghodon ne kiya tukde tukde
seene pe zakhm hazaar
ek sar ke tukde chaar
haye mai ujad gayi nana...
zainab ki sada har majlis mein
nauhon ki zubani aati hai
bibi ki sada dohraata hai
jisay nauha khwani aati hai
rehaan mere ash'aar
dil e zainab ki hai pukaar
haye mai ujad gayi nana...