HAIN DONO AALAM ME SHORE GIRYA RASOOL DUNIYA SE JA RAHE HAI...
Hai dono aalam me shore girya Rasool duniya se ja rahe hai, Hai Anbiya masruf e buka sab, malak bhi ansu baha rahe hai.
Hai ghair haal aj Murtuza ka, hua hai saneha Mustafa ka, Qaleel e Kaaba hai sar barehna qadam bhi kuch dagmaga rahe hai.
Yeh kaisa gham hai, har aankh nam hai, jhukaye sar ko shahe umam hai, Hassan ko apne jigar ke tukde nazar abhi se hi aa rahe hai.
Rahe na sunkar Rasul e Akram hai Fatima par ghashi ka aalam, Hussain apne tasavvuro'n me abhi se maqtal ko pa rahe hai.
Na ho pareshan tu aye 'Mehshar' yeh keh rahi hai Nabi ki duqtar, Hussain par mere rone wale, ja teri qismat bana rahe hai...