faryaad quda ki zaalim ne jafa ki
kya qoob ada dosti-e- aale aba ki
zahra o hasan jaafare sadiq shahedee'n ke
sajjad ke baaqar ke mazaaro pe jafa ki
jalaad ne aaj uski bhi turbat ko mitaaya
allah ne jis aal ki quraa'n me sana ki
mismaar kiye aale mohammed ko wo rouze
hoti thi dua poori jaha'n shaahe gada ki
zaalim ne usi bibi ki turbat ko ujaada
ek louti jo beti thi rasoole do sara ki
us bibi ki aulaad ko marqad me sataya
jisne ne sada baqshishe ummat ki dua ki
hargiz na dara qoufe ilaahi se sitamgar
zahra ke bhi naalo ki bhi parwah zara na ki