ye zindagi hai tujhse ay jannatul baqiah
gham aur khushi hai tujhse ay jannatul baqiah
dhaaras badi hai tujhse ay jannatul baqiah
hum teri hasbe mansha tameer kar na paaye
tu munhadim hui jab hum tab bhi bekhabar thay
sharmindagi hai tujhse ay jannatul baqiah
ye zindagi hai tujhse...
hai wajhe khalq e aalam madfoon is zameen par
masoom paanch hai aur binte asad yahin par
ye zindagi hai tujhse ay jannatul baqiah
ye zindagi hai tujhse...
dil ki muradein ab bhi paate hai hum yahin se
milta hai jo yahan se milta nahi kahin se
dhaaras badi hai tujhse ay jannatul baqiah
ye zindagi hai tujhse...
hai aal ka khazeena as'haab ka dafeena
azwaaj ka bhi madfan ansar ka madina
ye roshni hai tujhse ay jannatul baqiah
ye zindagi hai tujhse...
maahe aza hai humko shawwal ka maheena
tameer jab tu hogi wo din khushi ka hoga
gham aur khushi hai tujhse ay jannatul baqiah
ye zindagi hai tujhse...
ajdaad ka watan aur madfan hai sibte jafar
tujh par ho yun bhi rehmat ay sar zameene sarwar
ye deen bhi hai tujhse ay jannatul baqiah
ye zindagi hai tujhse...