Kanz e Aza

Phir Baqayya Ko

A noha for Inhedaam e Jannat ul Baqee, written by Takallum & Shams. Lyrics in Roman Urdu.

al ajal ay yusufe zahra


phir baqayya ko hum banayenge

jab imam e zamana aayenge


qabr e zehra ki hogi jab taameer

ambiya sab bulaye jayenge

phir baqayya ko hum...


sehn e ummul baneen ke andar

pani pyason ko hum pilayenge

phir baqayya ko hum...


qabre beemare karbala ke khareeb

ek sehn e shifa banayenge

phir baqayya ko hum...


ishqe baqir mein aur sadiq mein

ek daar ul qalam banayenge

phir baqayya ko hum...


yaad e qasim mein qabr e shabbar par

ansuon ke diye jalayenge

phir baqayya ko hum...


hum baqayya mein misle baab e jawaad

bara baab e karam banayenge

phir baqayya ko hum...


apne maula hassan ka dastarkhan

zaairon ke liye bichayenge

phir baqayya ko hum...


qabre zehra pe parchame abbas

khud imame zaman lagayenge

phir baqayya ko hum...


haan baqayya mein phir takallum o shams

kafsh bardaari karne jayenge

phir baqayya ko hum...