Kanz e Aza

Ya Fatima Zahra (s.a)

A noha for Inhedaam e Jannat ul Baqee, written by Raza Sirsivi. Lyrics in Roman Urdu.

Aah, Jannatul Baqee, Aah, Jannatul Baqee


Aaye the Madine mein Teri karne ziyaarat

Dil tukde hua dekh ke Bibi teri gharbat

Ab bhi hai Musalmanon ko ye tujh se adaawat

Ek shama ko mohtaaj hai Bibi teri turbat


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Ya Fatima Zahra, Ya Fatima Zahra


Haaye Zahra, Haaye Zahra, Haaye Zahra, Haaye Zahra,


Aaqa ka kafan bhi abhi maila na hua tha

Darwaza jala kar tere pehlu pe giraya

Do pasliyan tooti, tera Mohsin gaya maara

Be-saakhta us waqt padha tu ne ye nauha


Be-dard laeeno se bacha lijiye Baba

Hain aap hain, mujh ko bula lijiye Baba


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Yaad aa gayi bechargi-e-Fatah-e-Khaibar

Afsos, giraftaar-e-sitam ho gaye Haider

Chillati rahi, behr-e-madad, bint-e-Payambar

Sar pairon pe Amma ke rakhe rote the Sarwar


Is zulm ke toofaan se kis kis ko nikaale

Bachchon ko sambhaale ke Ali khud ko sambhaale


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Yaad aa gaya, Bibi, tera darbaar mein jaana

Baithe hain sitamgaar, khadi roti hai Zahra

Do lafz tasalli ke bhi koi nahin deta

Kya aise diya jaata hai ek baap ka pursa?


Uthte the Nabi, jis ke liye, kab se khadi hai

Kam-zarf se, badbakht se, haq maang rahi hai


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Jab tak rahi duniya mein, tadapti rahi Zahra

Din raat Madine mein yahi padhti thi nauha

Seene se mujhe apne laga lijiye, Baba

Ho jaata siyaah din, pa agar waqt ye padta


Zaalim, pa asar kuch nahi fariyad ka meri

Kya hoga khuda jane ab aulaad ka meri


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Din raat isi gham mein tadapti rahi Zahra

Kya hoga, Khuda jaane, mere baad Ali ka

Chhut jaayegi kuch roz mein mujh se to ye duniya

De ga mere bachchon ko bhala kaun sahaara?


Afsos, sad-afsos, safar kar gayi Zahra

Tanha hain Ali, koi nahin, mar gayi Zahra


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Chhay (6) Maah bhi seh paayi na Baba ki judaai

Duniya se safar kar hi gayi gham ki sataayi

Mil hi gayi har zulm se Zahra ko rihaai

Tareekh se poochhe koi, Haider ki duhaai


Jab Fatima Zahra ko kafan dete the Maula

Haathon se kaleje ko pakad lete the Maula


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Taiyaar hua jaise hi Zahra ka janaaza

Tab aakhri deedaar ko bachchon ko bulaaya

Sar pairon pe rakhte hain Hasan, padhte hain nauha

Kuch door khada rota hai Zahra ka chaheeta


Tab band-e-kafan tod ke chillati hai Zahra

Aa Seene se lag ja mere, ab jaati hai Zahra


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Hai chaaron taraf saare Madine mein ujaala

Ek qabr hai Zahra ki, jahaan par hai andhera

Turbat ko teri takta hai Sarkaar ka roza

Milti hai humein roz saza, Fatima Zahra


Zawwaron ko ye roz saza dete hain zaalim

Rote hain to jaali se hata dete hain zaalim


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Hum qabr pe, Bibi, teri aa bhi nahin sakte

Hum haal-e-judaai ka suna bhi nahin sakte

Jo dil pe guzarti hai, bata bhi nahin sakte

Do ashk tere gham mein baha bhi nahin sakte


Turbat ka nishaan bhi ye mitaane pe ade hain

Hum door hain, nazdeek ye shaitaan khade hain


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Utha shab-e-taariki mein Zahra ka janaaza

Kuch logon se naraaz gayin Fatima Zahra

Aaye jo Ali le ke Baqaiye mein janaaza

Tab qabr se aayi ye sada, laadli aaja


La de de Ali, meri amaanat mujhe de de

Bachchon ko sambhaal, aur ye mayyat mujhe de de


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Khaamosh khade rote hain sab haaye azaadaar

Matam na teri qabr pe kar paaye azaadaar

Mitti na teri qabr ki chhoo paaye azaadaar

Ye zakhm Madine se naye laaye azaadaar


Kis Tarha se loota hai Muhammad ke chaman ko

Maa, qabr ko mohtaaj hai Shabbir kafan ko


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Har ek yahi keh ke dua ghar ko hai lauta

Aa jaiye, aa jaiye, aa jaiye, Aaqa

Le lijiye shaitaanon se mazlooma ka badla

Aap aayein to taiyaar ho Masooma ka Rauza


In saare Yazeedon ko zamaane se mita do

Phir farsh-e-aza saare Madine mein bichha do


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra


Kya aur RAZA likhe, ke tukde hai kaleja

Rauza tera, Tayyaar ho, Ya Fatima Zahra

ARSHAD padhe khud aa ke Baqee mein ye nauha

De saare azaadaar tere laal ko pursa


Hai jitne Fadak-khor, woh dozakh mein jalenge

Jannat mein faqat Shah ke azaadaar rahenge


Rauza tera veeran hai, Ya Fatima Zahra

Bikhraa hua Quran hai, Ya Fatima Zahra