ya habeeb e kibriya zainab hui be-aasra
shaah ke sukhe gale par shimr ka khanjar chala
chal base aun o mohamad mere do wo noore ain
aise aalam mein bhala kyun kar milega dil ko chain
phir bhi mai karti rahi us haal mein shukre khuda
ya habeebe kibriya...
laashe qasim tukde tukde hoke bikhri khaak par
kaash mujhko maut aati mai na sunti ye khabar
maadare qasim ka ab is dunya mein kya reh gaya
ya habeebe kibriya...
mere abbas e jari ke ho gaye shaane qalam
chidh gayi mashk e sakina khoon mein dooba alam
qatl e abbas e jari se ho gaya mehshar bapa
ya habeebe kibriya...
seena e kadiyal jawan se jaari hai ab tak lahoo
laashe akbar darmiyan hai bibiyan hai chaar soo
umme laila ki nigahon mein andhera cha gaya
ya habeebe kibriya...
karta hai asghar ko zibha hurmula is teer se
nehr karta hai wo zaalim oont ko jis teer se
sheh ki qurbani jo dekhi ro diye arz o samaa
ya habeebe kibriya...
kar chuka jab dafn asghar ko mera bhai hussain
aap ka pyara nawasa wo azeez e waalidayn
jaanib e maqtal chala hokar sawaar e zuljana
ya habeebe kibriya...
raahe haq anwer hussain ibne ali sar raabedaar
dast dar daste yazeed e be-haya hargiz na daar
gufta aashiq zainab e muztar basad aah o buka
ya habeebe kibriya...