jo zer e kisa parwaan chade
zainab aisi hasti hai
jo zain e abu jad banke rahe
zainab aisi hasti hai
wo jisne banayi apni jagah
arbaab e kisa masoomon may
khud fatema jis par naaz kare
zainab aisi hasti hai
shabbir se baaqi deen e nabi
shabbir se baaqi paighambar
shabbir rahe zinda jis se
zainab aisi hasti hai
kunbe ki hifazat bhi karna
darbar may khutbe bhi dena
is wasf may hai maa se aage
zainab aisi hasti hai
qaimon ki hifazat ki khaatir
toota hua ek naiza lekar
jo shaam e ghariban pehra de
zainab aisi hasti hai
dhaaras hai imam e dauran ko
zainab sa nigehban saath may hai
abbas kabhi shabbir bane
zainab aisi hasti hai
sarwar ke liye deen ki khaatir
jo waar diye un beton ka
gham bhi na kare pursa bhi na le
zainab aisi hasti hai
be parda jise ummat ne kiya
aur apne tayeen ruswa bhi kiya
jo ummatiyon ka parda rakhe
zainab aisi hasti hai
har chand hui tash'heer uski
bazaron may darbaron may
chehre ko chupaya baalon se
zainab aisi hasti hai
go haath pase gardan ho bandhe
aur kehne ko qaidi ho phir bhi
jo girte huon ko sahara de
zainab aisi hasti hai
mukhtar hai wo majboor nahi
chaahe to badal de pal bhar may
haalaat jo sibte jafar ke
zainab aisi hasti hai