Kanz e Aza

Ay Mere Maula Hussain

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Bilal Kazmi. Lyrics in Roman Urdu.

ay mere maula hussain ay mere aaqa hussain


khoon kiye qalbe ali monise islame nabi

fatema zehra ka pisar ibne rasoole arabi

haye purhaul biyaban hai koi monis o yawar bhi nahi

dasht mein tanha hai hussain ibne ali

ay mere maula hussain...


zeest ki aas nahi mera abbas nahi

koi ab paas nahi

haye uthe huwe qaimon ka dhuaan

shaam e gariban ka ye purhaul samaan

fauje jafa ki yalghaar

haye ab kisko bulaun paye imdad ye zainab ne kaha

mere khuda chinti hai chadar meri

ay mere maula hussain...


waaris e aale aba qaidi e joro jafa

jab suye shaam chala

gir pada khaak pe ghash khaake shahe deen ka pisar

kaampte honthon se bas itna keh kar

baap be-gor o kafan dashte bala mein hai pada

aur kafan tak bhi nahi haye re gurbat meri

ay mere maula hussain...


waali e har do jahan yaad hai wo bhi samaan

di jo akbar ne zaban

khanych li rote huwe apni zaban bano e muztar ke pisar ne bhi

sare qaima dahan se tere

waali e kon o makan shaahe zaman saaqi e kausar ke pisar

roze dahum haye teri tashnalabi

ay mere maula hussain...


garm maqtal ki hawa phool kumlaya hua

haye wo shishmaha

asre ashoor sare karbobala ahle aza teere sitamgar se faqat

gardane asghar hi nahi

chidh gaya dasht mein mamta ka gala saath mein hulqoome tamanna e padar

haye wo naawak figani

ay mere maula hussain...


khoon rota tha jahan dukhtare shaahe zaman

haye abbas ki jaan

shaam hote hi sakina ki rida cheeni gohar cheene layeeno ne

tamachon se aziyat de kar

haye afsos sitamgaaron ne itna bhi na socha ki ye

be-yaar o madadgaar hai beti sheh ki

ay mere maula hussain...


dard ka lehja bilal gham ka aeena bilal

ye tera nauha bilal

khoob aamir ne padha dard mein dooba hua ye nauha e gham

uthne lagi aah o buka ki awaaz

ab tamanna hai ke likha hai jo ye nauha e gham jald ho maqbool

sare baargahe aale nabi

ay mere maula hussain...