Kanz e Aza

Ay Mere Sar Bureeda

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Ahmed Faraz. Lyrics in Roman Urdu.

hussain

ay mere sar bureeda badan dareeda

sada tera naam bar gazeeda


mai karbala ke lahoo dasht mein tujhe

dushmano ke narghe mein

taygh dar dast dekhta hoo


mai dekhta hoo ke tere saare rafeeq

sab hum nawa sabhi jaan farosh

apne saron ki fasle kata chuke hai

gulaab se jism apne khoon mein naha chuke hai


hawaye jaankaah ke bagulay

charagh se taab naak chehre bujha chuke hai

musafirane rahe wafa lut luta chuke hai


aur ab faqat tu zameen ke is shafaq kadhe mein

sitara e suboh ki tarha

roshni ka parcham liye khada hai

ye ek manzar nahi hai

ek daastan ka hissa nahi hai

ek waaqia nahi hai


yahin se tareekh

apne taaza safar ka awaaz kar rahi hai

yahin se insaniyat

nayi rif'aton ki parwaaz kar rahi hai


mai aaj is karbala mein

be aabru nigun sar

shikast khurda khajil khada hoo

jahan se mera azeem hadi

hussain kal surkh roo gaya hai


mai jaan bacha kar

fana ke daldal mein jaan balab hoo

zameen aur aasman ke izz o faqr

saare haraam mujh par

wo jaan luta kar

manara e arsh choo gaya hai


salaam us par

salaam us par