ay shimr e layeen tu kya kaat raha hai
ay qaatil e shabbir tu kya kaat raha hai
dar asl payambar ka gala kaat raha hai
ay qaatil e shabbir tu kya kaat raha hai
jaari hai labe shaah pe tasbeeh e elaahi
sheh rag nahi tu zikre khuda kaat raha hai
ay qaatil e shabbir...
raahon mein kisi shaks ne sajjad se poocha
kya jurm hai kyun sakht saza kaat raha hai
ay qaatil e shabbir...
kaano mein sakina ke hai rayt ke zarre
har zarra hi kaante ki tarha kaat raha hai
ay qaatil e shabbir...
naize ki ani chadare zainab mein adi hai
naiza sar e zainab ki rida kaat raha hai
ay qaatil e shabbir...
gardan mein muhaari ke pada tauq hai bhaari
aur paon ko bedi ka kada kaat raha hai
ay qaatil e shabbir...
tauqeer dua aamad e mahdi ki kiya kar
ye waqt kathan maula bada kaat raha hai
ay qaatil e shabbir...