bole shabbir ke sarwar ko sambhalo amma
aakhri baar kaleje se lagalo amma
sunke bete ki sada aagayi khatoon e jina
dasht mein kehne lagi maa hai mera laal kahan
bikhraye baal kehti hai jangal mein fatema
ay shimr mere laal ko aise na zibha kar
paala hai chakki pees ke maine hussain ko
do boondh pani dede zara noor e ain ko
hai teen din se khushk gala wa musibata
ay shimr mere laal ko...
mai maa hoo mere saamne mat qatl kar isay
sookha gala hai kis tarha khanjar tera chale
manzar ye dekh dekh ke rote hai mustafa
ay shimr mere laal ko...
maloom tha ki hogi shahadat hussain ki
maloom tha ke jaan na bachegi pisar teri
aise koi bhi qatl nahi aaj tak hua
ay shimr mere laal ko...
itne badan mein teer chube hai mai kya karoo
mai kaunsa badan se bhala teer khaynch loo
aisa chuba hai teer ke hilta nahi zara
ay shimr mere laal ko...
mayyat utha chuka hai bahattar ki laadla
akbar ke khoon mein doob gayi shaah ki aba
uski jabeen se khoon hai baysheer ka laga
ay shimr mere laal ko...
mai isko dekh dekh ke roti rahi sada
jab jab bhi choomti thi mai halqoom shaah ka
amma na roiye yehi kheta tha baareha
ay shimr mere laal ko...
shabbir qatl hogaye mai dekhti rahi
sheh ki zameen garm pa mayyat padi rahi
chalees roz dhoop mein laasha pada raha
ay shimr mere laal ko...
allah karbala ko mubarak agar gaya
tadpega dekh dekh ke rauza hussain ka
rehan hai yaqeen ke goonjegi ek sada
ay shimr mere laal ko...