haye hamsheer e raza
ya masooma
qabr e masooma e qum se ab bhi aati hai sada
ek behan bhai ke laashe pe na jaane paayi
jis ghadi shehr e khurasan mein bulwaye gaye
baani e zulm o jafa zulm se kab baaz aaye
tumko mamoon ne kyun zehr khila kar maara
qabr e masooma e qum se...
ay shehenshah e watan tumne bigada kya tha
mere pardesi aqi tera sahara kya tha
qum mein mai tanha rahi tum thay toos mein tanha
qabr e masooma e qum se...
zehr ne apna asar jis ghadi choda hoga
kat gaya hoga mere bhai kaleja tera
kitni takleef hui hogi ghareebul ghurba
qabr e masooma e qum se...
aap seene pe rakhe haath tadapte honge
bad naseebi ye meri mujhko bulaate honge
na wahan jaa saki mai tu na behan tak pahuncha
qabr e masooma e qum se...
mai teri laash pe hoti to ye nauha karti
kam se kam tere janaze ki to zeenat hoti
mere bhai ye magar mere muqaddar mein na tha
qabr e masooma e qum se...
kya musafir ko kabhi zehr e dagha milta hai
jab safar mein koi pardesi guzar jaata hai
yaad aa jaata hai hamshakle payambar bhaiya
qabr e masooma e qum se...
mujhse behtar kayi kismat thi mere jadda ki
laashe shabbir thi aur saani e zehra bhi thi
kam se kam bhai ki mayyat ko behan ne dekha
qabr e masooma e qum se...
haye irfan na tha mera muqaddar aisa
kya mubarak tera kam hoga ye nauha mera
mai bhi tanha thi kahin bhai kahin tha tanha
qabr e masooma e qum se...