Kanz e Aza

Kaabe Pe Alam

A noha written by Mubarak Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ab waqt ke zaalim hosh mein aa

abhi aakhri hyder baakhi hai

wo zlum o sitam baakhi na rahe

shabbir ka lashkar baakhi hai

uth'ta hai alam batlane ko

abbas e dilawar baakhi hai

phir saani e hyder hi toote

naize se qayamat layega

kaabe pe alam lehrayega


ay aale payambar ke dushman

sun ghaur se wo din door nahi

parde mein jo sheh ka waaris hai

mukhtar hai wo majboor nahi

wo hukme khuda ka taabe hai

lachaar nahi be-noor nahi

jab shaane wigha dikhlayega

bin maut hi tu mar jayega


tum karbobala kaise loge

wo karbobala shabbir ki hai

daakhil nahi ho sakte hargiz

wo jaye amaan baysheer ki hai

aur jo bhi shahe mazloom ki hai

wo sarwar ki hamsheer ki hai

sehra e atash tu kya lega

jab shaam nahi le payega


hai shaam mein zainba ka rauza

zindan mein sakina ka rauza

rauzon pe abhi bhi rehta hai

abbas aur akbar ka pehra

qabron hi hifazat ko ek din

wo saakin e ghaibat aayega

phir hashr tumhara kya hoga

jab tayghe ali dikhlayega


har ghar mein bapa majlis hogi

har ghar mein bichegi farshe aza

nauhon ki sadayein goonjegi

har soo sheh ka matam hoga

tameer baqayya mein hoga

phir aale payambar ka rauza

ujda hai jo gulshan barson se

dubara sajaya jayega


gulshan gulshan sehra sehra

koocha koocha pariya pariya

har zarra padhega dunya ka

bas iski adalat ka kalma

kaunain mein raaij hoga faqad

maula ke gharane ka sikka

ab jald hi kaabe ki chath par

ghazi ka alam lehrayega


abbas e jari ne parcham ko

gaada bhi to gaada pani mein

ye mashke sakina milne ko

aajaye na maula pani mein

rehan o mubarak is tarha

tehrara pursa pani mein

jis tarha jari pyasa palta

wo maula mera batlayaga