baqir mere beta meri faryad suno
tadap kar hazrate baqir se ye zainulliba bole
mai aankhein band karta hoo to maqtal yaad aata hai
ay mere laal batla de ke mai so'un bhala kaise
meri nazron mein aajata hai ek toota hua naiza
rulaata hai mujhe zakhmi kaleja mere bhaiya ka
hatane se bhi wo manzar nahi hat'ta hai aankhon se
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...
jab aankhein band hoti hai to yaad aajate hai baba
mere baba ka zakhmi jism teeron par muallaq tha
mere rehte huwe tashna dahan maare gaye pyase
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...
wo qaima jal raha tha jisme mai behosh tha beta
badi mushkil se qaime se phupi jaan ne nikaala tha
mujhe hosh aaya to dekha fiza mein thay faqat sholay
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...
sakina karbala ke baad soyi hi nahi baqir
wo ek din mar gayi ghutkar kabhi royi nahi baqir
wo rona chaahti thi jab layeen thay maarte durre
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...
ali asghar ka mar jaana sare maqtal qayamat thi
mere laqte jigar wo tere baba ki shahadat thi
abhi tak yaad karta hoo wohi manzar mai ro ro ke
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...
tan e qasim ka khoon mein doob jaana kaise bhoolunga
eba mein is liye tha wo ke paara paara laasha tha
badi mushkil se baba ran se uski laash laaye thay
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...
pase ashoor wo mehshar raha mai kaise bhoolunga
meri nanhi sakina ka gala rassi mein jakda tha
nikalti thi kahan awaaz aakhir bolti kaise
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...
mubarak bain kaisa tha ke baba ro pade haye
pidar rote thay apne laal ko seene se liptaye
bayan irfan kaise ho qayamat ke manazir thay
mai aankhein band karta hoo...
tadap kar hazrate baqir se...