arbaeen e hussain
bula ke ban mein sata kar jise shaheed kiya
aaj chehlum hai mere us ghareeb bhai ka
kar diya jis ka sitamgaaron ne tukde tukde
thaam ke apna jigar kehti hai binte zahra
paraye des mein jisko kafan talak na mila
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
wo jiska dasht mein pamaal ho gaya laasha
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
layeen phirata raha jiske halq par khanjar
sawaar shimr e sitamgar tha jiske seene par
mai jiska dekh ke aayi hoon bekafan laasha
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...
mujhko zaalim ne gala jiska dikha kar kaata
jis ke rukhsaar pe zaalim ne tamacha maara
dekh kar mujhko sukoon milta tha jiska chehra
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...
ke jis ke phool se bacche ko na mila pani
aur uska teen dino haye band tha pani
galay mein jiske pisar ke tha teer seh shohba
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...
bhatije bhanje bhai shaheed jiske huwe
mai dekhti rahi pamaal ho gaye laashe
bas ek roz mein wo jiski lut gayi dunya
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...
wo jiska laal na turbat mein reh saka haye
layeen nanha sa laasha nikaal kar laaye
mai dekhti rahi nazuk galay ko kat'ta hua
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...
giri mazaar pe bhai ki nauhakhwan zainab
bata do bhaiya mere jaaye ab kahan zainab
ye kehke qabr pe behosh ho gayi dukhiya
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...
ye dekh lo mere bhai hai chut gayi zainab
dilaaun nazrein bhala kis pe lut gayi zainab
bala ke dash mein loota gaya hai ghar mera
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...
ghareeb e fatema zahra ka arbaeen hai ye
jahan pukara ke maula ka arbaeen hai ye
dhadakta qalb hai rehaan aur mubarak ka
mai us ghareeb ka chehlum manane aayi hoon
paraye des mein jisko...