Mazloom-e-Karbala Ka Chehlum Hai Karbala Me
Banu Ke Dilruba Ka Chehlum Hai Karbala Me
1.Markhad Pa Aakey Madar Aansu Baharahi Hai
Hum Shakle Mustafa Ka Chehlum Hai Karbala Me
2.Naize Uochal Ke Paani Baichan Horaha Hai
Abbas-e-Bawafa Ka Chehlum Hai Karbala Me
3.Be Shoor-o-Shain Zainab Faryaad Karrahi Hai
Farzande Mustafa Ka Chehlum Hai Karbala Me
4.Laaye Kahan Chadar Phoolou Ki Ibne Sarwar
Pyase Shah-e-Huda Ka Chehlum Hai Karbala Me
5.Har Ek Dil Hazi Hai Sar Peet Aaye Razi Tu
Aulad-e-Fatima Ka Chehlum Hai Karbala Me