haye jis kurte may zindan talak laayi gayi
ay sakina tu usi kurte may dafnayi gayi
tere kano se na ruk paaya lahoo ka behna
kab ruka shaam talak haye tamache lagna
har qadam haye aziyat tumhe pahunchayi gayi
haye jis kurte may...
tujhko zindan may sar baap ka dikhlaya gaya
imtehan baap ki chahat ka tumhe dena pada
jitna tu royi koi bachi na rulwayi gayi
haye jis kurte may...
jitna mayyat pe teri barsi ye ghurbat bibi
aise dafnayi nahi jaati hai koi bachi
do bandhe haaton se tu qabr talak laayi gayi
haye jis kurte may...
kabhi gardan pe rasan aati kabhi jism bandha
haye thi kaisi tasalli ki chini teri rida
har nafas ek qayamat tere sar dhaayi gayi
haye jis kurte may...
naam sunte hi tera bhai chala aata hai
shimr lagta hai aziyat tumhe phir deta hai
jab kabhi teri musibat kahin dohrayi gayi
haye jis kurte may...
mere dada ne to qaatil ko pilaya pani
aur mere baba ne haiwano ko baksha pani
par ek sakina hi meri pani ko tarsayi gayi
haye jis kurte may...
meri khwahar ko kaneezi may koi maangta tha
aur koi raah may sadqa isay dikhlata tha
poti zahra ki aur bazaaron may bulwayi gayi
haye jis kurte may...
thi dua baba ki mujhse na bichadne paaye
itna mai chahoo mere bin na usay neend aaye
sheh se rehan aur mubarak wohi chudwayi gayi
haye jis kurte may...