afsos sad afsos sakina qaidi hai
haathon may hatkadiyan pairon mai bediyan
aur kano se baaliyan cheeni gayi
baliyon ne di sada kaash hum toot jaate
to shahzadi ki lawe bach jaati
maaf karna shahzadi maaf karna shahzadi
baliyan shaam talak deti rahi ek sada
toot'te hum to sakina ki lawe bach jaati
haye ek saal talak zakhm na rehta taaza
toot'te hum to sakina ki lawe bach jaati
nanhe ruqsaar hai aur shimr ka panja hai bada
ungliyan kaano ke zakhmon ko jo karti hai hara
kisi surat may bhi kaano se lahoo ruk jaata
baliyan shaam talak...
jisko maloom nahi tha ke yateemi kya hai
poochti rehgayi bhaiya ye yateemi kya hai
bhai jaan khol do kyunkar hai mera haath bandha
baliyan shaam talak...
kaan zakhmi hai gala zakhmi hai zakhmi hai haath
aisa hota hi nahi haye yateemon ke saath
bachne paayi nahi is bibi ki nanhi si rida
baliyan shaam talak...
koi saqde ki khajoorein ise dikhlata hai
kholta pani koi chath se gira deta hai
zulm is darja huwe kaise rahi ye zinda
baliyan shaam talak...
pushte naaqa pe bithaya nahi sulwaya gaya
aur ek rassi se phir nanha badan baandha gaya
ashkiyan haste hai chillaati hai jab ye dukhiya
baliyan shaam talak...
aankhein shabbir ka sar khol ke ye kehta hai
beti kyun phool sa ruqsaar tera neela hai
tere kaano ki lawo se hai lahoo kyun behta
baliyan shaam talak...
bachi irfan o mubarak junhi khamosh hui
samjhe sajjad ke khwahar meri behosh hui
shaana zainab ne hilaya to na zinda paaya
toot'te hum to sakina ki lawe bach jaati