batlaiye ye kaisi aseeri hai phuphi jaan
kya mere muqaddar may tha ye shaam ka zindan
yan khaak udati hai jahan shaam se wehshat
har suboh tapakti hai jahan baam se wehshat
hoga isi zindan may mere dafn ka saaman
batlaiye ye kaisi…
ye raat ye tanhai ye khamoshi ye ghurbat
amma isi goshay may banana meri turbat
kya meri tarha se meri ho qabr bhi veeran
batlaiye ye kaisi…
amma ho kahan kuch bhi dikhayi nahi deta
haaton ko mere haath sujhaayi nahi deta
aisa hai andhera ke khata hote hai ausaan
batlaiye ye kaisi…
wo sham tamachon bhari ruqsat hui amma
daman jalay gowhar chinay muddat hui amma
hai aaj talak dard se dukhte hai mere kaan
batlaiye ye kaisi…
socha tha ke zindan se reha jab bhi mai hoongi
jaungi madine ko mai sughra se miloongi
lagta hai magar yan se rehaai nahi aasan
batlaiye ye kaisi…
pur shor naved itna hai jitna hai ye sunsaan
ek qabr ke hote hue ye sham ka zindan
aabad kahan baad hai veeran ka veeran
batlaiye ye kaisi…