mai jaane nahi dene thi baba ke sawari
maqtal ko nahi jaaiye ruk jaye khudara
kya beti se pyari hai qaza ay mere baba
zakhmon ke aziyat se sakina ko bacha len
jaate huwe haathon se inhe aap chupa len
kaano se gauhar nochne aa jayenge adaa
kya beti se pyari hai...
zehra hoo samajhti hoo mai ismat ke ishaare
shayad na rahe chadarein ab sar pe hamare
kyun yaas se hai chadar e tatheer ko chooma
kya beti se pyari hai...
ruqsaron pe is tarha mujhe bosay kiye hai
jaise ke mere gaalon pe kuch neel pade hai
mai kis ko pukarungi agar shimr ne maara
kya beti se pyari hai...
jis tarha utaara hai mujhe seene se baba
yaad aaya hai manzar mujhe yasrab ke safar ka
bhaiya ne tha mehmil se yun sughra ko utaara
kya beti se pyari hai...
yasrab mein mere naaz uthaate rahe jaise
taskeen e dil o jaan bulaate rahe jaise
ab kaun kahega mujhe is tarha sakina
kya beti se pyari hai...
pardes mein hojaye jo bewa koi beti
bas baap hi reh jaata hai umeed dukhi ke
ro ro ke ye poochti hai aap se kubra
kya beti se pyari hai...
ye bain jo uth'te hai abhi aap ke gham mein
shaamil hai meri daadi bhi in ahle haram mein
roti hui takti hai mujhe fatema zehra
kya beti se pyari hai...
pani ki zaroorat hi nahi pyasi nahi hoo
kis aas pe ruqsat ki ijazat tumhe de doo
maine to koi laut ke aata nahi dekha
kya beti se pyari hai...
akbar tha ajab sajda e shabbir ka manzar
gardan pe layeen waar kiye jaata tha gin kar
har waar pe kaano mein yehi goonjh raha tha
kya beti se pyari hai...