buland hote hai sholay batool ke ghar se
yehi wafa hai madine ki kya payambar se
shikasta pehlu se behta hua lahoo to nahi
lahoo jo pocha hai zehra apni chadar se
buland hote hai sholay...
hua hai kaise ye paywast gaal may gohar
lahoo tapakta hai kaisa batool rone se
buland hote hai sholay...
aseer karte hai damaad e mustafa ko wohi
wafa ka daawa tha jinko janabe sarwar se
buland hote hai sholay...
ye kaun hai ke jo karta hai zulm se jaari
nabi ki beti pe fatwa nabi ke mimbar se
buland hote hai sholay...
chipayi kyun gayi zehra ki qabr baat khuli
hassan ki laash pe yasrab may teer jab barse
buland hote hai sholay...
jo kayenaat ki maalik hai uski turbat ka
nishan banaya gaya hai bas ek pathar se
buland hote hai sholay...
hai aab o daana to haq mehre fatema lekin
hai uska kunba jo sehra may aabe kausar se
buland hote hai sholay...
safed hogaye kyun sar ke baal zahra ke
layeen ne kya kaha akbar nabi ki dukhtar se
buland hote hai sholay...