Kanz e Aza

Deti Rahi Bacchon

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Hasnain Akbar (2026). Lyrics in Roman Urdu.

deti rahi bacchon ko sakina ye dilaase

pani ka mai keh aayi hoon abbas chacha se


mashkeeza rakha maine jo shaane pe chacha ke

rone lage baba unhe seene se laga ke

roti thi phupi dhaamp ke moo apna rida se

deti rahi bacchon ko...


tadpe thay chacha jis ghadi maine ye kaha tha

zinda nahi reh payega cheh maah ka baccha

mar jaaye na asghar kahin seh roz ke pyase

deti rahi bacchon ko...


haathon se kisi koozon ko girne nahi dena

ay pyaas ke maaro abhi kuch hausla rakhna

kuch dayr mein bhar jayenge pani se ye kaase

deti rahi bacchon ko...


ho jayega darya pe abhi qabza hamara

saahil pe unhe koi bhi awaaz na dena

bhatke na dhyaan unka kahin ran mein sada se

deti rahi bacchon ko...


mashkeeze ki karte hai yun haathon se hifazat

jaise ho koi fatema zehra ki amanat

ummeed thi mujhko ehi daadi ki dua se

deti rahi bacchon ko...


haye mere baba ka baradar hua zakhmi

wo mashk chidi beh gaya maidan mein pani

bach jaaye chacha sab ye dua maango khuda se

deti rahi bacchon ko...


akbar ye fughan karti thi ro ro ke sakina

darya se palat kar nahi aaya mera saqqa

neend aa na gayi ho kahin saahil ki hawa se

deti rahi bacchon ko...