Kanz e Aza

Kaash Tumko Neend

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Hasnain Akbar. Lyrics in Roman Urdu.

baba ki pyari sakina


shaam e ghariban hai ye sakina

kaash tum ko neend aa jaaye


be-sar padar ka ban mein tha nauha

kaash tum ko neend aa jaaye


pathar badan se hataun to kaise

lori tumhe mai sunaun to kaise

pehlu mein soja ay shaahzadi

seene pe tum ko sulaun to kaise

teeron bhara hai bistar tumhara

kaash tum ko neend aa jaaye

shaam e ghariban hai...


baysheer wapas jo aaya nahi hai

maine tumhe ye bataya nahi hai

lori sunayi hai teeron ne usko

asghar ko maine sulaya nahi hai

tum ko to lori dete hai baba

kaash tum ko neend aa jaaye

shaam e ghariban hai...


us waqt mujhpe bhi mushkil badi thi

pehlu mein maadar ke sota tha mai bhi

mai jaanta hoon ye mushkil hai kitna

bichdi thi jab mujhse dadi tumhari

mere liye bhi kehti thi zehra

kaash tum ko neend aa jaaye

shaam e ghariban hai...


har taur khud ko sambhalegi zainab

go tum jo royi to royegi zainab

tum bhi samajhti ho phir bhi kahunga

gar tum na soyi to jaagegi zainab

zainab ki khaatir so jao beta

kaash tum ko neend aa jaaye

shaam e ghariban hai...


wo dekho kuch door soye hai akbar

aun o mohamed hai soye wahan par

aadat hai pehre mein sone ki tumko

bibi muhafiz hai poore bahattar

charon taraf hai laashon ka pehra

kaash tum ko neend aa jaaye

shaam e ghariban hai...


ek dher hai patharon ka zameen par

baithi ek bibi jis ke barabar

aulaad ke gham mein doobe padar ki

aati hai jis se sadayein ye akbar

jaagogi kab tak meri sakina

kaash tum ko neend aa jaaye

shaam e ghariban hai...