Kanz e Aza

Kab Aaoge Baba

A noha for Shehzadi Sakina (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

tha shaam ke zindan mein sakina ka ye nauha

kab aaoge baba

ab aur kahan tak mujhe rulwaoge baba

kab aaoge baba


ab bhi na khabar li to mai zinda na rahungi

mai bach na sakungi

dil kaampta hai dekh ke zindan ka andhera

kab aaoge baba

tha shaam ke zindan...


ek raat bhi mai chain se sone nahi paayi

ammu hai na bhai

phat jaye kahin shiddat e gham se na kaleja

kab aaoge baba

tha shaam ke zindan...


bhaiya ali akbar hai na qasim hai na ammu

roothe hai ye sab kyun

chillaati hoo ro ro ke koi bhi nahi aata

kab aaoge baba

tha shaam ke zindan...


ab mera muqaddar hai yehi khaak pe sona

takiya na bichona

sone ke liye aap ka seena na milega

kab aaoge baba

tha shaam ke zindan...


mai kaise yaqeen karloo ke faryad ye meri

tum tak nahi pahunchi

sunte rahe aur haal bhi mera nahi poocha

kab aaoge baba

tha shaam ke zindan...


be-parda phiraye gaye bazaaron mein jis dam

kyun mar na gaye hum

har gaam pe maine tumhe ro ro ke pukara

kab aaoge baba

tha shaam ke zindan...


baba ko bulaade koi ghut'ta hai mera dam

hai waqt bahot kam

bekas ki to faryad bhi koi nahi sunta

kab aaoge baba

tha shaam ke zindan...