haye baba mere baba
kaha ro kar sakina ne mai kaise shaam jaungi
padar ki khoon bhari mayyat ko kaise bhool paungi
mai jaati hoon suye zindan magar mujhko ye lagta hai
wahan se laut kar shayad mai wapas aa na paungi
kaha ro kar sakina ne...
bahot jaldi yateemi qabr tak le jayegi mujhko
bichad kar tum se ay baba bahiot din jee na paungi
kaha ro kar sakina ne...
pada hai dhoop mein laasha mere baba ka jo ran mein
mujhe wapas mili chadar to wo laasha chupaungi
kaha ro kar sakina ne...
tumhari yaad mein baba mere din raat guzrenge
hai waada shaam ka zindan azakhana banaungi
kaha ro kar sakina ne...
chacha ki laash par ro kar ye kehti reh gayi bacchi
mai mushkil mein ghirungi to bhala kisko bulaungi
kaha ro kar sakina ne...
nahi sar pe rida mere bata do ay ali akbar
azaan hogi jo raste mein to sar kaise chupaungi
kaha ro kar sakina ne...
ye mumkin to nahi lekin agar pani koi dega
chacha ki yaad aayegi mai pani pee na paungi
kaha ro kar sakina ne...
bahot kamszor o laaghir hoon hai dil bas char barson ka
tamachon se mai khud ko shimr ke kaise bachaungi
kaha ro kar sakina ne...
tamache is tarha se shimr ne maare hai ke ashhar
mujhe lagta hai ruqsaron ke bal ab so na paungi
kaha ro kar sakina ne...