kabhi kabhi mai ye sochta hoo
ye sochta hoo kabhi kabhi mai
adam ko jisne wujood baksha
wujood ko phir numood baksha
numood ko taazgi ata ki
ata ki hadh hashr se mila di
har ek zarre ko zindagi di
shaoor ko jisne aagahi di
hai jiska har shay pa naam hai kandah
wo kaun hai jiska mai hoo banda
kabhi kabhi mai…
ye aasman ye barasta saawan
ye lehlehata mehakta gulshan
ye sabza-o-gul ka narm bistar
ye kehkashan ki haseen chadar
ye chand suraj chamakte taare
haseen khudrat ke ye nazare
damakte hai kis ki chaah mein ye
mehakte hai kis ki raah mein ye
kabhi kabhi mai…
wo noor jisme hai noor uska
wo fehm jisme shaoor uska
wo aankh jisse wo dekhta hai
zaban jisse wo bolta hai
jo jalwa e noor e kirbiya hai
tamam aalam ka aasra hai
zameen pe rehmat ka aasman hai
falak pe kiska wo mehman hai
kabhi kabhi mai…
zameen hai na ye aasman hai
ajeeb aalam ajab samaan hai
niha nahi hai na wo ayan hai
hai koi maujood par kahan hai
udhar yakeen hai idhar guman hai
bas ek parda sa darmiyan hai
nikal rahe hai ye kiske baazu
simat rahi hai had e mano tu
kabhi kabhi mai…
mohamade mustufa se pehle
qadam kisi ke yahan na pahunche
yahan se bhi kuch zara sa aage
jahan pe jalwe hai la makaan ke
jo nubd ko saaz de raha hai
nabi ko awaaz de raha hai
ye kaun hai kya hai naam iska
yahan bhala hai kya hai kaam iska
kabhi kabhi mai…
yahan meinane khuda-o-banda
wujood mumkin nahi kisi ka
jahan ke mehman ka saath dene
nabi ke haaton mein haath dene
jo noor paykar mein dhal raha hai
ye haath jiska nikal raha hai
khuda numaan hai ke ye khuda hai
khuda nahi hai to aur kya hai
kabhi kabhi mai…
khudaya mujko muaf karde
nigaah mein haq ka noor bhar de
ye parda e darmiyan utha de
haqeeqat e murtaza dikha de
habeeb ka waasta hai tujhko
elaahi itna batade mujhko
jo tujhse mansoob tera dar hai
tera hi hai ya ali ka ghar hai
kabhi kabhi mai…
makaan hai ye tu la-makaan hai
kisay pata teri hadh kahan hai
koi nahi aur jis-se poochun
na tujse poochun to kis se poochun
ghata ki soorat mein log ghir ke
ye daare kaaba ke gird phirke
ye kisko sajde guzarte hai
ye kisko aakhir pukarte hai
kabhi kabhi mai…
ajab hai banda khuda numaan sa
khuda nahi hai khuda hai lagta
hai milta jhulta kalaam iska
khuda hi jaisa hai naam iska
har ek jaa is ka noor bhi hai
jala chuka kohe toor bhi hai
hawa jo kaabe se aa rahi hai
ali ali gunguna rahi hai
kabhi kabhi mai…
sharaf ye jo bhi mujhe mila hai
ye uski qidmat ka hi sila hai
jabeen e mehboob ka sitara
khuda ne ghar mein mere utaara
sadaqaton ka usool ban kar
wo aayi ghar mein butool ban kar
jo paara e qalb e mustafa hai
jo markaze noor e innama hai
kabhi kabhi mai…
jo deen e haq par nikhaar hai ye
usi ke dam ki bahaar hai ye
ye do jahan jis ke waaste hai
wo gul isi shaakh par khile hai
hassan se sar sabz do jahan hai
hussain surkhi e gulsitan hai
inhi se hai haq ki raah roshan
hai kalma e la-ilaah roshan
kabhi kabhi mai…
ali ka chehra ali ke baazu
ali ki aankhein ali ke gaysu
ali ka jism aur ali ki khusboo
ali ke rag rag mein hai rawaan tu
har ek karwat har ek pehlu
nahi koi farq sare moo
har ek ada mein teri hi khubahoo
hai tu ali ya ali mein hai tu
kabhi kabhi mai…
wujood mein jab wo dhal raha tha
mai saath karwat badal raha tha
falak se jab wo zameen pe aaya
mai aaya saath uske banke saaya
wo arsh pe jabke mehmaan tha
wahan pe mai shakle mezbaan tha
kahin pe chora na saath uska
hai kabse haaton mein haath uska
kabhi kabhi mai....
nida ye aayi na behko itna
zaban kholo hai ilm jitna
wo bistare noor jispe sokar
wo haath jispe baland hokar
zameen se mai aasman hua hoo
baraye wehm o gumaan hua hoo
wo asl hai aur usool hoo mai
shareeke noore rasool hoo mai
kabhi kabhi mai....
khuda ke munkir habal ke bande
kadooratein dil mein zehn gandhe
munaafiqat ki naqaab daale
hasad ke tan pe sajaye bhaale
safon mein islam ki sama kar
wujood se zayada khad badha kar
jo kalma e haq mitaane nikle
hussain sar ko katane nikle
kabhi kabhi mai…
hussain apna jo sar na dete
rahe khuda mein jo ghar na dete
sulagte sehra mein gar labe joo
na dete abbas apna baazu
jo sar se zainab rida na deti
jo nakshe baatil mita na deti
to jaanta kaun deen kya hai
daras fathe mubeen kya hai
kabhi kabhi mai…
wo fatema ke jigar ka paara
wo khoon mein apne dooba taara
wo bhooka pyasa nidhaal tanha
bashariyat ka kamaal tanha
luta ke raahe wafa mein ghar ko
kata ke raahe khuda mein sar ko
baqa ke doshay gara ke utha
utha to noke sina pe utha
kabhi kabhi mai…
usoole deen ka kamaal ban kar
yazeediyat ka zawaal ban kar
madeene se aake karbala mein
utar ke sehra e nainawa mein
jo deene haq baqa ki khaatir
rahe khuda mein khuda ki khaatir
hussain ne kul kameini de di
khuda ne saari khudaai de di
kabhi kabhi mai…
wo maadane noor ka sitara
wo haq ki jaanib khula ishara
pukarta hia jise tadap kar
hai naam jis ka ye us ke lab par
wohi hai manzil uloohiyat ki
wohi to had hai qubooliyat ki
wohi hai sajdagahe do aalam
hussain ka sar jahan pe hai kham
kabhi kabhi mai…
bashar ka sar fakhr se utha hai
tamaam aalam ka sar jhuka hai
bas ek awaaz aa rahi hai
tamaam aalam pe cha rahi hai
qubool teri har ek dua le
hussain sajde se sar utha le
le ummate mustafa ko baksha
tamam ahle wila ko baksha
kabhi kabhi mai…
ay mehrame raaze kunfaka aa
ay bazme wehdat ke raazdan aa
zameen par haq ke aasman aa
ay mutmeinin nafse do jahan aa
tamam raahe saji hui hai
falak ki baahein khuli hui hai
ay marsade do jahan pe cha ja
tu noor hai noor mein sama ja
kabhi kabhi mai…