paraya des hai ghurbat hai maa ye seh na payegi
kafan aun o mohamed tumko zainab de na payegi
jawan hone se pehle bekhata maara gaya tumko
thay pyase teen din se phir bhi na pani diya tumko
tumahre bin tumahri maa bhi zinda reh na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
ye suraj ki tapish jalti zameen zakhmi badan haye
nahi hai paas kuch maa ke tumhe kis tarha dafnaye
kafan ke bin magar tadfeen hargiz ho na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
huwe armaan mere khaak sab karbobala aa kar
jinhe paala tha naazon se unhi ko dasht mein kho kar
ye dukhiya gham zada aafat raseeda jaa na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
ghamon ne ek din mein hi zaeefa kar diya mujhko
bhara ghar qatl kar daala mera mai ro'un kis kisko
kisi bhi laash pe jee bhar ke zainab ro na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
tumhari kamsini par bhi kisi ne rehm na khaaya
tumhe maara gaya phir jism pe ghodon ko daudaya
hai laashe tukdo mein dono ke maadar chun na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
mai tadpungi har ek lamha kabhi na chain paungi
rahungi jab talak zinda faqat aansu bahaungi
tumhe royegi maa din raat hargiz so na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
saron se chadarein chinti hai saaman loote jaate hai
qayamat ho gayi ahle sitam qaime jalaate hai
behen abbas ki beparda reh kar jee na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
ghira hai sholon mein kis tarha abid ko nikalun mai
dilaasa raando ko doo ya yateemo ko sambhlun mai
badan zakhmi hai saara phir bhi zanab ruk na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...
qamar buknalvi zainab hui jis dam rasan basta
badi hasrat se aamir dono laashon ki taraf dekha
kaha phir laashon se maa jaati he ab keh na payegi
kafan aun o mohamed...
paraya des hai ghurbat...