Kanz e Aza

Tujhe Roun Ali Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Qamar Buknalvi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

tujhe dulha banaun ya tujhe roun ali akbar

tera sehra sajaun ya tujhe roun ali akbar


abhi attharwan tha saal teri zindagani ka

qadam hota hai pehla bachpane se naujawani ka

magar ab saamne mere hai laasha mere jaani ka

mile sab khaak mein armaan tujhe dulha banane ke

tere mehendi lagaun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...


tujhe maa ne mere beta badi hasrat se paala tha

padar ki jaan tha tu maa ki aankhon ka ujaala tha

shabihe mustafa tha husn mein yusuf se aala tha

mai teri chand si dulhan byaah ke ghar mein laungi

teri shadi rachaun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...


kamar ko thaamte hai aur kabhi sar ko patakte hai

zameen par baith kar shabbir phir dil ko masalte hai

zaeefi ka sahara lut gaya keh kar tadapate hai

jawan ki laash ko tanha badi muskhil se laaya hoon

mai wo sadma uthaun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...


tamanna thi meri tujhko mai jab dulha banaungi

balayein loongi teri tujhko seene se lagaungi

karungi poore sab armaan har ek mannat badhaungi

he dil bechain ab mera tujhe dulha banane ko

tujhe dil se lagaun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...


teri shadi pe sughra ne kaha tha mai bhi aaungi

mujhe lene nahi aaya to akbar rooth jaungi

mai apane haathon se aakar teri dulhan sajaungi

karo jab shadi ay bhai behen ko bhool na jaana

mai sughra ko bulaun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...


hai uljhi uljhi zulfein aur jami hai khaak chehre par

nahi hai pani jo nehlaye maa tujhko ali akbar

badi hasrat se aayi thi shahane jode ko le kar

lagati mushk aur ambar shahana jode pehna kar

ghame furqat bataun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...


utho beta khate sughra tumhare naam aaya hai

karoge shadi kab akbar behen sughra ne likhha hai

kayi din se mera dil ab bahot bechain rehta hai

rahungi kab talak tanha batao to mere bhaiya

jawabe khat likhaun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...


tadapti thi qamar buknalvi laashe ali akbar

ay aamir umme laila ke bayan e gham ko sun sun kar

mere noore nazar ab kya karegi maa teri jee kar

jiyegi jab talak maadar karegi bas tera matam

safe matam bichaun ya tujhe roun ali akbar

tujhe dulha banaun ya...