hai jalti zameen tu hi bata ay mere asghar
mai laash uthaun ya teri qabr banaun
rakh bhi to nahi sakta teri laash zameen par
mai laash uthaun ya teri qabr banaun
rakhunga zameen par jo tujhe mere jiyale
hai garm zameen jism pe pad jayenge chaale
shabbir ko ab tu hi bata hasliyon waale
khud sambhla nahi jaata tujhe kaise sambhale
asghar ko kaha shaah ne seene se laga kar
mai laash uthaun ya...
hai jalti zameen...
ye baat alag hai ke taraste ho kafan ko
dafnana zaroori hai bahot nanhe badan ko
warna ye layeen kar denge pamaal badan ko
maa teri na seh payegi is ranj o mahan ko
phir rote rahe dayr talak shaah ye keh kar
mai laash uthaun ya...
hai jalti zameen...
hai ye bhi khabar qabr mein na chain milega
hai garm zameen garm hawa jism jalega
pani ke bina dhoop ki shiddat na sahega
gar dafn na ho paaya to godhon se rundhega
laaya hoo tujhe is liye daaman mein chupa kar
mai laash uthaun ya...
hai jalti zameen...
aankhon mein andhera hai nazar kuch nahi aata
tooti hai kamar baith ke utha nahi jaata
zaanu pe sula kar mai tujhe lori sunaata
ek haath se phir beta teri qabr banaata
majboor hoo ab uth bhi nahi sakta mai gir kar
mai laash uthaun ya...
hai jalti zameen...
ek boond hi pani tu faqat maang raha tha
sookha hua seh roz se nanha sa gala tha
jo teer teri nanhi si gardan pe laga tha
wo teer mere laal tere qadh se bada tha
pani na diya qatl tujhe kar diya asghar
mai laash uthaun ya...
hai jalti zameen...
hai phool sa nazuk ye tera chand sa chehra
kis dil se dabaunga isay khaak mein beta
mar jaunga sadme se yahin baap hoo tera
aa jayega us waqt mere moo ko kaleja
daalunga tere rukh pe jo mai rayt utha kar
mai laash uthaun ya...
hai jalti zameen...
al kissa qamar qabr banane lage sarwar
asghar ko utha lete thay rakh rakh ke zameen par
ay shadman kehte thay ajab waqt hai hum par
bekafn hi dafnaana padega tujhe asghar
ab taab nahi baaqi mere jism ke andar
mai laash uthaun ya...
hai jalti zameen...